Friday, November 04, 2005

Aaj Bachpan ne phir...

Aaj Bachpan ne phir,
Mujhe aapna saathi banaaya
Aur mujhe se nighao mein,
ek hi Sawaal puccha

Ki kahan bhool gaya tu,
Mujhe aapni Zindagi ki,
Jaddho jehad mein

Ki kahan bhool gaya,
tu aapni Masoomiyat ko

Aaj Bachpan ne phir,
Mujhe aapna saathi banaaya
Aur mujhe se nighao mein,
ek hi Sawaal puccha

Is zindagi mein mukaamoein ke pichae,
Bhaagte Bhaagte kahan nikal aaya tu

Is zindagi mein chehre par chehre chadate-chadate,
Kahan bhool aaya aapni muskharahatoein ko tu

Aaj Bachpan ne phir,
Mujhe aapna saathi banaaya
Aur mujhe se nighao mein,
ek hi jawaab manga

Ki kab aayega tu vapas,
Aapni panah mein...
Aapni panah mein...